Wednesday 13 July 2011

Karara thappad

13/7/2011 mumbai pe hamala...
abhi 2-3 saal pahle huye hamlo ko kaun bhula paya hai jo
2008 me jaypur,bangalore,ahmadabad,delhi,gujrat,malegaon
,aur asam me atankiyo ne apne mansubo me kamyabi hasil
ki thi.isase pahle we akshar dham mandir,sansad bhawan
etc. jagaho pe bhi hamla kiye the.lekin kumbhkarn ki nind so rahi
sarkar kab tak jagegi ,logo ko uss sunhare din ka intzar hoga...
aur aaj fir mumbai me jo kuchh bhi hua wo shidhe hamare
suraksha karno par sawaliya nishan hai...
jab ek ghatna hoti hai to sarkar , janta se unche wade karti hai
ki unke khilaf kadi se kadi karyawahi ki jayegi, lekin samay
gujarne ke sath hi ye sab baate gujar jati hai,aur fir ek aur dhamaka....

apko to yad hoga jab America me 9/11 hamala hua tha...lekin kya
uske baad koi hamala hua America pe ????....
aur aaj ham ek ujjwal , akhand aur viksit bharat ki kalpana liye huye
security ke mamle me America se compare karte hai,lekin in  atnkiyo
ka kya kare???

No comments:

Post a Comment